Sundar bahut Brahma ne brahmaand banaya
Har yug ko (haan) isme bade hee pyaar se sajaya
Antim yuh kalyug jiske antim kshan mein
Aana tha mujhko, toh maine ganit lagaya
Abhi bache kayi varsh hazaar
Par drishti daali jo ek baar
Dharti pe paaya aaya samay
Jab Lena hoga mujhse avtaar
Ban ke Kalki, Mujhko Kalki
Ban ke Kalki, Mujhko Kalki
Ban ke Kalki, Mujhko Kalki
Ban ke Kalki, Mujhko Kalki
Amliye varsha ho chuki hai parmaanu tak pad chuka hai
Keh raha svayam kalyug hee, wo ghor kaal mein gad chuka hai
Raja mantri chor sipahi sab bal paise mein khoye raajneeti mein
Manushya manushya ko kha raha hai mastishk itna sad chuka hai
Baap ko beta daat raha
Bhai bhai ko kaat raha
Kshetra rang dharm jaat ke naam pe, jag sabko hai baat raha
Dharti ro ke laga rahi rat
Yug ant karne houn main prakat
Ban ke Kalki, Main Kalki
Ban ke Kalki, Main Kalki
Ban ke Kalki, Main Kalki
Ban ke Kalki, Main Kalki
Nari mein wo baat kahan naa hee purush mann hee swachh hai
Jhank lu andar logo ke soch adhiktar kee tuchh hai
Dasha deen ki buri pashu se
Mol nahi hai uske ashru ke
Shok mein satya sada dabaa shishya sa
Jhooth tanaa hai samaan guru ke
Guru se kisko hai matlab aaj
Gyaan ka matlab hai abhimaan
Sheesh jhuka aadar mein koi
Sab samjhe bhay ka hai aahwaahan
Har disha mein chhal
Aaun Shuddh karne vaayu jal
Ban ke Kalki, Main Kalki
Ban ke Kalki, Main Kalki
Ban ke Kalki, Main Kalki
Ban ke Kalki, Main Kalki
Hoga anuj se prem
Bado ka hoga aadar
Nirmal hogi dharti
Man ka nishchhal hoga saagar
Dene aise yug ki taan
Aunga shighr iss jahaan
Aunga shihhr du vardaan
Ban ke Kalki, Main Kalki
Ban ke Kalki, Main Kalki
Ban ke Kalki, Main Kalki
Ban ke Kalki, Main Kalki