(Humsaya hai tu
Tere sache dhalun
Pyar tujhe itna karun) X2
Karvat lun toh tu mile
Ek duje mein Din dhale
Aur yeh raatein
Khwabon mein pale
Humsaya...
Mehmaan nawazi kya tujhse karun
Dil yeh mera hai, tera hi ghar
Maujoodgi teri, mujhko sambhale
Befikr hun saath tu agar
Na jazbaat hain kaabu mein
Sharmo sharam yeh utaar ke
Izhaar karun ab main umr bhar
Humsaya...
Pichle janam mein haan
Mujhse mile the kya
Yarana pehle ka
Lagta hai mujhko kyu
Tune rehbar sa
Mujhko diya darja
Hadd se guzar ke bhi, teri parwah karun
Raazi main raazi tu hai
Saanjhedaari yeh deti sukoon hai
Humsaya ..