Chaahe jitna bhi tu nazar chura
Reh chhupkar mujhse nazar na
Lagta hai mujhko saara pata
Tera pata deti hai hawa
Saanson ka buna taana baana
Aahat ko teri yun pehchaana
Lagta hai mujhko saara pata
Tera pata deti hai hawa
Kitne milte julte lage hain
Har dil ke fasaane
Zid pe hai jaane kyun is tarah tu
Baat meri tu na maane
Meri taraf bhi dekh zara tu
Chaahe thoda itra le
Honthon ko mile kuch nazraana
Aankhon ka shuru ho sharmaana
Lagta hai mujhko saara pata
Tera pata deti hai hawa
Teri har shaamon ka surma
Kar dena mere hawaale
Jab-jab roothe chaandni aaya
Chaand hi usko manaane
Dekh jude hain taare ye aise
Chaahe kitna suljha le
Tujhpe ye kahaani thehri hai
Parton pe parat ye gehri hai
Lagta hai mujhko saara pata
Tera pata deti hai hawa
Chaahe jitna bhi tu nazar chura
Reh chhupkar mujhse nazar na
Lagta hai mujhko saara pata
Tera pata deti hai hawa
Tera pata deti hai hawa
Tera pata deti hai hawa