Kaise bura hun mai
Khudse juda hun mai
Kehne ko zinda hun
Par abhi mara hun mai
Lafz chupalun mai
Kalam hai jaadu ye
Ussi ki nok par
Duniya banalun mai X2
Sadko pe chalta rahun
Unn gwaho se kyun mai ab ladta rahun ya
Ayene bhi hasse ab mere kyun unnse zyada sabko chunhta rahun mai
Soya na arson se fir bhi kyun sapno ke jaalon mein fasta rahun
Shayad ye ghar mera aasmaan duniya ko dekhne ko jhukta rahun mai
Chalta rahun zyada saanso se
Kaise ye dukh mera kaatoge
Marne ka baad bhi zinda
hunar mera kisme tum baatoge
Kaise mai guzra hun kaaton se
Rakt bhi dekha inn ankhon ne
Sabko hai dikhte koi dekhe na
Andhere se bann chuke raaton ke
Baaki hai kya?
Khudme hi ghum ghum
Dhundo mai kya hai bala?
Saazish hai na
Ankhein bhi jhum jhum
Rehti hai behta chalaa
Aise juda hun mai
Pyaar kamalun mai
Khuda ye ek hai
Sabko batadun mai
Aaspaas baithe jaalsaas bhot
Khatma krun laakh baar aur
Vaardaat pe hi laash vaash vo
Baat maan meri baat maan bro
Khaakh kare koi baat vaat ab
Akela hu mai antim padaav tak
Rehta mai khud mei hi gumnaam sa(echo)
Mai hu fasaa aur mai hi jawaab hu paheli ka
Jad ki fasaad bhi hai ye dimag
Sanki bana mai sanki bana
Mai hi ilaaj
Kosun mai khud ko hi kyun is tarah
Uljhan Ke daldal mei hu mai dhasa
Niklu mai tab hi jab ho man ye shant
Kaise bura hun mai
Khudse juda hun mai
Kehne ko zinda hun
Par abhi mara hun mai
Lafz chupalun mai
Kalam hai jaadu ye
Ussi ki nok par
Duniya banalun mai X2