Jo zahir kar na sake woh ehsaas hai tu
Mere pyaar ka haqdar hai tu
Jo hum bhula na sake woh khayal hai tu
Mere aasmaan ka chaand hai tu
Dil mein basa hai tu
Kaisa nasha hai tu
Jo mujhe bhi hansa de
Aisi wajah hai tu
Jo hum keh na sake woh alfaaz hai tu
Meri zindagi mein ek gulaab hai tu
Jo zahir kar na sake woh ehsaas hai tu
Yeh dil tujhko paas bulaye
Paas bulaake teri zulfein sehaye
Tere na aansu hum dekh bhi paye
Hum teri galtiyon pe tujhko manaye
Tere khayalon mein hum dubte jaye
Tu meri humnava hai sabko bataye
Dil ke sheher mein maine tujhe basaya
Maine tujhe jaana apna banaya
Jo zahir kar na sake woh ehsaas hai tu
Meri zindagi mein bas khaas hai tu
Jo zahir kar na sake woh ehsaas hai tu
Mere pyaar ka haqdar hai tu
Mera chaand hai tu
Ek muqaam hai tu
Mera pyaar tuuuuuuuuuuuuuuuuuu